#lyrics #shantanumoitra #3idiots

Behti hawa sa tha woh
Udhti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo
Behti hawa sa tha woh
Udhti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo
Hum ko toh raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta
Masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikr satati
Woh bas aaj ka jashn manata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhu ke hamare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo
Sulagti dhoop mein chaon ke jaisa
Reghistan mein gaon ke jaisa
Mann ke ghaav pe marham jaisa tha woh
Hum sehme se rehte kuve mein
Woh nadiya mein gotae lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh
Baadal awara tha woh
Yaar hamara tha woh
Kahan gaya usse dhoondo
Hum ko toh raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta, sambhalta
Masti mein chalta tha woh
Hum ko kal ki fikr satati
Woh bas aaj ka jashn manata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh
Kahan se aaya tha woh
Chhu ke hamare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo

image
0